KHud tamasha ban gai chashm-e-tamashai ki bas
sang-e-dar par aaj ki hai wo jabin-sai ki bas
toD Dala main ne aaKHir us ka kaj-aks aaina
warna wo yun tha ajab mahw-e-tamashai ki bas
aisa lagta hai ki bazm-e-naz mein tanha hun main
chashm-e-bina ho to hai wo bazm-arai ki bas
zarre zarre ki zaban par naghma-e-jaan-soz hai
dasht-zar-e-gham ne aisi KHak chhanwai ki bas
ajnabi lagne laga hai subh-e-KHandan ka jamal
yun hui ruKHsat meri aankhon ki binai ki bas
dur se jab sahil-e-ummid-o-yas aaya nazar
dafatan ek mauj kashti se wo Takrai ki bas
is qadar haibat-zada tha ahd-e-tark-e-dosti
awwal awwal to tabiat aisi ghabrai ki bas
taer-e-sidra bhi KHaif tha meri parwaz se
aa ke manzil ke qarib ek choT wo khai ki bas
aaj tak ubhri nahin hai kashti-e-umr-e-rawan
aab-ju-e-dard mein thi aisi gahrai ki bas
main ki KHwab-e-naz mein aasuda shab hone ko tha
sur-e-israfil ki aisi sada aai ki bas
rafta rafta jal ke KHakistar hui aqlim-jaan
chhaT gae baadal magar phir dhup wo chhai ki bas
uqda-e-hairat 'muzaffar' jis ghaDi khulne ko tha
zindagi ne kan mein wo baat batlai ki bas

Ghazal
KHud tamasha ban gai chashm-e-tamashai ki bas
Muzaffar Ahmad Muzaffar