اردو हिंदी
KHud par jo etimad tha jhuTa nikal gaya | Shaahi Shayari
KHud par jo etimad tha jhuTa nikal gaya

Ghazal

KHud par jo etimad tha jhuTa nikal gaya

Bharat Bhushan Pant

;

KHud par jo e'timad tha jhuTa nikal gaya
dariya mere qayas se gahra nikal gaya

shayad bata diya tha kisi ne mera pata
milon meri talash mein rasta nikal gaya

suraj ghurub hote hi tanha hue shajar
jaane kahan andheron mein saya nikal gaya

daman ke chaak sine ko baiThe hain jab bhi hum
kyun bar bar sui se dhaga nikal gaya

kuchh aur baDh gai hain shajar ki udasiyan
shaKHon se aaj phir koi patta nikal gaya

pahle to bas lahu pe ye ilzam tha magar
ab aansuon ka rang bhi kachcha nikal gaya

ab to safar ka koi bhi maqsad nahin raha
ye kya hua ki panw ka kanTa nikal gaya

ye ahl-e-bazm kis liye KHamosh ho gae
tauba meri zaban se ye kya nikal gaya