KHud mujh ko bhi malum nahin hai ki main kya hun
ab tak to KHud apni hi nigahon se chhupa hun
haalat ke narghe mein kuchh is tarah ghira hun
mahsus ye hota hai tujhe bhul chuka hun
samjha tha ki rudad nae daur ki hogi
aaya hai tera nam to main chaunk uTha hun
shayad kabhi bachpan mein kahin sath raha hai
aaine mein ek shakl ko pahchan raha hun
zulfon ke mahakte hue sae ki talab mein
tapti hui rahon pe bahut dur gaya hun
mahjub sa tanhai ka ehsas khaDa hai
bistar pe baDi der se KHamosh paDa hun
ab sochne baiTha hun ki masraf mera kya hai
majbur-e-mohabbat hun na paband-e-wafa hun
suniye to 'muzaffar' ka har ek sher kahega
main TuTe hue saz ki bechain sada hun

Ghazal
KHud mujhko bhi malum nahin hai ki main kya hun
Muzaffar Hanfi