KHud koi chaak-gareban hai rag-e-jaan ke qarib
ai junun hashr ka saman hai rag-e-jaan ke qarib
manzil-e-dil se to guzre hue din bit gae
karwan-e-gham-e-jaanan hai rag-e-jaan ke qarib
dar-ba-dar kis liye aawara ho sar-gashta ho
dosto kucha-e-jaanan hai rag-e-jaan ke qarib
kya kahen ab dil-e-betab ka aalam yaro
muztarib jaise rag-e-jaan hai rag-e-jaan ke qarib
kyun na kanTon ki taraf jaen tere diwane
KHalish-e-jumbish-e-mizhgan hai rag-e-jaan ke qarib
shabnam-e-ashk gira deta hai zaKHm-e-jaan par
koi hamdard sa insan hai rag-e-jaan ke qarib
kis ke gae hue naghmat sunata hun 'shamim'
kaun hai wo jo ghazal-KHwan hai rag-e-jaan ke qarib

Ghazal
KHud koi chaak-gareban hai rag-e-jaan ke qarib
Shamim Karhani