KHud ko murshid man le pyare kyun aur kya ka bhed samajh
apni surat takta rah aur phir kaisa ka bhed samajh
tujh se baDh kar dasht nahin hai tujh se baDh kar gor nahin
is jangal mein aa us gor mein rah maula ka bhed samajh
jaanne wale manne walon se afzal hai dhyan rahe
majnun mat ban hosh mein rah aur phir laila ka bhed samajh
pani sar se upar chaDhne de sanson ki mala phir
do jaan hota main baiTh aur dil dariya ka bhed samajh
har iqrar se pahle ek inkar ki hifazat hoti hai
allah ke bande allah se pahle la ka bhed samajh

Ghazal
KHud ko murshid man le pyare kyun aur kya ka bhed samajh
Naeem Sarmad