KHud ko kitna chhoTa karna paDta hai 
beTe se samjhauta karna paDta hai 
jab auladen nalaeq ho jati hain 
apne upar ghussa karna paDta hai 
sachchai ko apnana aasan nahin 
duniya bhar se jhagDa karna paDta hai 
jab sare ke sare hi be-parda hon 
aise mein KHud parda karna paDta hai 
pyason ki basti mein shoale bhaDka kar 
phir pani ko mahnga karna paDta hai 
hans kar apne chehre ki har silwaT par 
shishe ko sharminda karna paDta hai
        Ghazal
KHud ko kitna chhoTa karna paDta hai
Nawaz Deobandi

