KHud ko jab KHud se kisi rose rihai dungi
main parindon ki tarah uDti dikhai dungi
zindagi tu mujhe kangan na bhi pahna be-shak
main tujhe hanste hue phir bhi kalai dungi
moajaze lafz mere KHalq karenge aise
chup rahi phir bhi zamane ko sunai dungi
ghar mein KHwabon ko lahu kar ke jalaungi charagh
dar-o-diwar ko aankhon ki kamai dungi
tum mujhe hijr ki rudad suna dena bas
main tumhein zaKHm hasin ashk tilai dungi
aaKHiri bar uThana hai mujhe dard ka bar
aaKHiri bar mohabbat ki duhai dungi
'sadiya' ahd buzurgon se nibhaungi sada
hath ko KHun se main rasm-e-hinai dungi

Ghazal
KHud ko jab KHud se kisi rose rihai dungi
Sadiya Safdar Saadi