KHud ko aasan kar rahi ho na
hum pe ehsan kar rahi ho na
zindagi hasraton ki mayyat hai
phir bhi arman kar rahi ho na
nind sapne sukun ummiden
kitna nuqsan kar rahi ho na
hum ne samjha hai pyar par tum to
jaan pahchan kar rahi ho na

Ghazal
KHud ko aasan kar rahi ho na
Kumar Vishwas