KHud ho ke kuchh KHuda se bhi mard-e-KHuda na mang
rasm-e-dua ye hai ki dua le dua na mang
nadan ma-siwa se na kar iltija na mang
mange KHuda se bhi to KHuda ke siwa na mang
main apni be-zari ki nadamat ko kya kahun
tu aur sharmsar na kar ai gada na mang
un ka karam bhi dekh le apna bharam bhi rakh
har muddai se mang magar muddaa na mang
KHugar ho dard ka ki yahi hai ilaj-e-dard
ye kis ke bas ka rog hai us ki dawa na mang
rasm-e-talab mein kya hai samajh kar uTha qadam
aa tujh ko hum bataen ki kya mang kya na mang
rakkhi hui hai sari KHudai tere liye
haqdar ban ke samne aa mang ya na mang
is KHak-dan-e-dahr mein ghuTta agar hai dam
maqdur ho to aag laga de hawa na mang
milti nahin murad to 'natiq' KHayal chhoD
meri salah ye hai ki tu ruTh ja na mang
Ghazal
KHud ho ke kuchh KHuda se bhi mard-e-KHuda na mang
Natiq Gulavthi