KHud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin
ghair ke ho gae aise ki watan yaad nahin
chandni husn ki achchhi hai magar naz na kar
tujh ko is chand ka tarik gahan yaad nahin
us ki mahfil mein hua tha kabhi apna bhi guzar
baaten kuchh ki thin magar mujh ko dahan yaad nahin
shikwa-e-hijr ki KHwahish na kar ai dil ki tujhe
samna ho to koi ranj-o-mehan yaad nahin
jalwa-e-hilla-e-jannat se ye KHud-rafta hua
main ne kin hathon se pahna tha kafan yaad nahin
kyun sunate ho abas ahl-e-wafa ko baaten
ki unhen tarz-e-makafat-e-suKHan yaad nahin
tafraqa-saz-garon ki ye had hai ki mujhe
mil ke baiThe the kabhi ruh-o-badan yaad nahin
hum to mar mar ke sikhaya kiye lekin ab tak
ishq ka husn-e-KHud-ara ko chalan yaad nahin
turra-e-gesu-e-jaanan teri nikhat ki qasam
main ne dekha tha magar mushk-e-KHutan yaad nahin
kya bataun tujhe main qaid-e-mohabbat kya thi
dast-o-pa ko mere zanjir-o-rasan yaad nahin
tere nazzare mein dil mahw tha aisa dam-e-ranj
tegh ka phal mujhe ai seb-e-zaqan yaad nahin
dagh ginte hue guzre hain qafas mein shab-o-roz
kis tarah khulte the gul-ha-e-chaman yaad nahin
qadr-dan pa ke bahal jate hain aawara-watan
jab to nikle hue moti ko adn yaad nahin
zabh hone se mere un ko tajjub hai to ho
apne mathe ki wo KHun-rez shikan yaad nahin
kaun sunta hai ye afsana-e-gham ai 'saqib'
qabil-e-ahl-e-zamana koi fan yaad nahin

Ghazal
KHud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin
Saqib Lakhnavi