KHud apni lau mein tha mehrab-e-jaan mein jalta tha
wo musht-e-KHak tha lekin charagh jaisa tha
wo gum hua to mazamin ho gae be-rabt
wahi to tha jo mera markazi hawala tha
mere KHayal ki tajsim hai wajud tera
tere liye baDi shiddat se main ne socha tha
wo sirf apni hudud-o-quyud ka nikla
us ek shaKHs ko kya kya samajh ke chaha tha
makan bana ke use band kar diya warna
ye rasta kisi manzil ko jaane wala tha
ye waqia hai ki hum ne wo ru-e-nadida
baghair minnat-e-chashm-o-nigah dekha tha
muani-e-shab-e-tarik khul rahe the 'salim'
jahan charagh nahin tha wahan ujala tha

Ghazal
KHud apni lau mein tha mehrab-e-jaan mein jalta tha
Saleem Ahmed