اردو हिंदी
KHud apna aks hun ki kisi ki sada hun main | Shaahi Shayari
KHud apna aks hun ki kisi ki sada hun main

Ghazal

KHud apna aks hun ki kisi ki sada hun main

Khalilur Rahman Azmi

;

KHud apna aks hun ki kisi ki sada hun main
yun shahr ta-ba-shahr jo bikhra hua hun main

main DhunDne chala hun jo KHud apne-ap ko
tohmat ye mujh pe hai ki bahut KHud-numa hun main

mujh se na puchh nam mera ruh-e-kaenat
ab aur kuchh nahin hun tera aaina hun main

jab nind aa gai ho sada-e-jaras ko bhi
meri KHata yahi hai ki kyun jagta hun main

laun kahan se DhunDh ke main apna ham-nawa
KHud apne har KHayal se Takra chuka hun main

ai umr-e-rafta main tujhe pahchanta nahin
ab mujh ko bhul ja ki bahut bewafa hun main