اردو हिंदी
KHol ke andar simaT kar rah gaya main | Shaahi Shayari
KHol ke andar simaT kar rah gaya main

Ghazal

KHol ke andar simaT kar rah gaya main

Chandrabhan Khayal

;

KHol ke andar simaT kar rah gaya main
apne sae se bhi kaT kar rah gaya main

le gaya wo chhin kar meri jawani
us pe bas yunhi jhapaT kar rah gaya main

jab kabhi nikla julus-e-rang-o-nikhat
TuTi diwaron se saT kar rah gaya main

chal raha tha wo mere shana-ba-shana
KHud hi us se dur haT kar rah gaya main

us ne muTThi-bhar mujhe uncha kiya jab
aur bhi ek hath ghaT kar rah gaya main

chah thi ghul jaun sare manzaron mein
haif kuchh logon mein baT kar rah gaya main

barha aisa hua mahsus jaise
aasmanon se lipaT kar rah gaya main