kho na ja is sahar o sham mein ai sahib-e-hosh
ek jahan aur bhi hai jis mein na farda hai na dosh
kis ko malum hai hangama-e-farda ka maqam
masjid o maktab o mai-KHana hain muddat se KHamosh
main ne paya hai ise ashk-e-sahar-gahi mein
jis dur-e-nab se KHali hai sadaf ki aaghosh
nai tahzib takalluf ke siwa kuchh bhi nahin
chehra raushan ho to kya hajat-e-gulguna farosh
sahib-e-saz ko lazim hai ki ghafil na rahe
gahe gahe ghalat-ahang bhi hota hai sarosh
Ghazal
Kho na ja is sahar o sham mein ai sahib-e-hosh
Allama Iqbal