اردو हिंदी
Kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich | Shaahi Shayari
kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich

Ghazal

Kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich

Meer Mohammadi Bedar

;

kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich
jalwa-gar tha warna wo KHurshid tere man ke bich

para-e-bekar hain wahdat mein jab tak hai dui
rah-e-yaktai hai rishta ke tain sozan ke bich

saf kar dil taki ho aaina-e-ruKHsar-e-yar
mana-e-raushan-dili hai zang is aahan ke bich

zahir o pinhan hai har zarra mein wo KHurshid-ru
aashkar o muKHtafi hai jaan jaise tan ke bich

dur ho gar shamma se tere ghaflat ka zukaam
tu usi ki bu ko pawe har gul-o-sausan ke bich

kucha-gardi ta-kuja jun kah-e-baad-e-hirs se
gaD kar pa baiTh misl-e-koh tu maskan ke bich

kyun abas bhaTka phire hai jun zuleKHa shahr shahr
jalwa-e-yusuf hai ghafil tere pairahan ke bich

kab dimagh apna ki kije ja ke gul-gasht-e-chaman
aur hi gulzar apne dil ke hai gulshan ke bich

mat mujhe taklif-e-sair-e-bagh de 'bedar' tu
gul se rangin-tar hai yan laKHt-e-jigar daman ke bich