اردو हिंदी
KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai | Shaahi Shayari
KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai

Ghazal

KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai

Tilok Chand Mahroom

;

KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai
ghazab hota hai jab KHud baghban sayyaad hota hai

tujhe is par guman-e-naghma-e-sayyaad hota hai
qafas mein nala-kash murgh-e-gulistan-zad hota hai

KHushi ke baad ek tu hi nahin hai mubtala-e-gham
yunhi akasr jahan mein ai dil-e-nashad, hota hai

rawa rakhta hai wo bedad pahle apni fitrat par
jo insan dusre par mail-e-bedad hota hai

jo karta hai nisar-e-nau-e-insan apni hasti ko
wo insan iftiKHar-e-alam-e-ijad hota hai

mere ashaar ki tausif hoti hai mere hote
nahin malum mere baad kya irshad hota hai

na kar 'mahrum' tu fikr-e-suKHan ab fikr-e-uqba kar
nawa-parwaz bazm-e-sher mein aazad hota hai