KHizan se joD ke rishta bahaar ka koi
KHushi nahin na sahi gham to de gaya koi
na shukriya na shikayat ye rabt hai kaisa
kise nasib thi fursat ki sochta koi
na koi dost na dushman to phir ye uljhan kyun
tamam umr isi karb mein raha koi
ajib daur se wabastagi rahi meri
ki mil saka na mujhe apna ham-nawa koi
haqiqaton ke bhi ruKH se naqab uTh jata
kabhi jo apne gareban mein jhankta koi
guzar gaya to harifon ke war se bach kar
KHud apni tegh-e-ana se na bach saka koi
zaban se kuchh na kaha wo samajh gaya lekin
meri nigah mein tha harf-e-iltija koi
Ghazal
KHizan se joD ke rishta bahaar ka koi
Naz Quadri