KHizan mein aag lagao bahaar ke din hain
nae shagufe khilao bahaar ke din hain
ulaT do taKHta KHizan ki tabah-kari ka
bisat-e-aish bichhao bahaar ke din hain
ezar-e-gul ki dahak se jala ke kanTon ko
lagi dilon ki bujhao bahaar ke din hain
mila ke qatra-e-shabnam mein rang o nikhat-e-gul
koi sharab banao bahaar ke din hain
bhare kaTore chaman ke ye dars dete hain
chhalakte jam lunDhao bahaar ke din hain
ab ehtiyat-pasandi hai sai-e-na-mashkur
mata-e-zabt luTao bahaar ke din hain
sharar-e-gul se zamane mein shole bhaDka do
hasin fitne jagao bahaar ke din hain
junun-e-shauq ki be-e'tidaliyon ke KHilaf
koi dalil na lao bahaar ke din hain
purani shamen bujha din saba ke jhonkon ne
nae charagh jalao bahaar ke din hain
lachak rahi hai wafur-e-samar se shaKH-e-hayat
ye bar hans ke uThao bahaar ke din hain
janab-e-aKHtar-e-jaan-dada-e-ruKH-e-gul ko
imam-e-waqt banao bahaar ke din hain
Ghazal
KHizan mein aag lagao bahaar ke din hain
Akhtar Ansari