KHizan ki baat na zikr-e-bahaar karte hain
to log kaise ghamon ka shumar karte hain
ye ahl-e-shahr jise KHaksar karte hain
bagula kah ke use be-wiqar karte hain
abhi hamein kisi manzil ki justuju hi nahin
safar barae-safar iKHtiyar karte hain
ye kis ke wasl ki KHushbu hai rahguzaron mein
ki log sham-o-sahar intizar karte hain
agarche bar-e-samaat hain shab ke sannaTe
koi sune to use hoshiyar karte hain
kuchh aur shamen jalana paDengi mahfil mein
abhi andhere ujalon pe war karte hain
hamein bhi 'rashk' duaon se muddaa mil jae
yahi dua hai jo hum bar bar karte hain

Ghazal
KHizan ki baat na zikr-e-bahaar karte hain
Rashk Khaleeli