KHizan ka qarz to ek ek daraKHt par hai yahan
ye aur baat ki har shaKH bar-war hai yahan
jo soch sakta hai wo zehn jal raha hai abhi
jo dekh sakti hai wo aankh KHun mein tar hai yahan
sunega kaun in aankhon ki be-sada fariyaad
samaaton ka to andaz hi digar hai yahan
sataya aaj munasib jagah pe barish ne
isi bahane Thahar jaen us ka ghar hai yahan
hisar-e-jism se bahar bhi zindagi hai mujhe
ye aur baat ki ehsas mo'tabar hai yahan
Ghazal
KHizan ka qarz to ek ik daraKHt par hai yahan
Iqbal Ashhar Qureshi