KHizan ka jo gulshan se paD jae pala
to sehn-e-chaman mein na gul ho na lala
liya tere aashiq ne barson sambhaala
bahut kar gaya marne wala kasala
pae-fateha hath uThawega koi
sar-e-turbat-e-bekasan aane wala
isi girya ke tar se meri aankhen
bana dengi naddi baha dengi nala
biTha kar tumhein shama ke pas dekha
tum aankhon ki putli wo ghar ka ujala
KHat-e-shauq ko paDh ke qasid se bole
ye hai kaun diwana KHat likhne wala
diya hukm saqi ko pir-e-mughan ne
pai-e-muhtasib jam-o-mina uTha la
ye sunte hi mai-KHwar bole KHushi se
hamin sa hai ye nek allah wala
haqiqat mein 'sail' ne zauq-e-adab se
jahan tak uchhaala gaya nam uchhaala
Ghazal
KHizan ka jo gulshan se paD jae pala
Saail Dehlvi