اردو हिंदी
KHirad ko gumshuda-e-ku-ba-ku samajhte hain | Shaahi Shayari
KHirad ko gumshuda-e-ku-ba-ku samajhte hain

Ghazal

KHirad ko gumshuda-e-ku-ba-ku samajhte hain

Ravish Siddiqi

;

KHirad ko gumshuda-e-ku-ba-ku samajhte hain
hum ahl-e-ishq tujhe ru-ba-ru samajhte hain

tere KHayal ki KHushbu tere jamal ka rang
har ek ko takmila-e-rang-o-bu samajhte hain

koi maqam koi marhala nazar mein nahin
kahan hai qafila-e-arzu samajhte hain

butan-e-shahr ko ye e'tiraf ho ki na ho
zaban-e-ishq ki sab guftugu samajhte hain

hazar fitna dar aaghosh hai sukun tera
tujhe hum ai dil-e-ashufta-KHu samajhte hain

hazar manzil-e-nau yak faragh-e-gumshudagi
maal-e-hausla-e-justuju samajhte hain

faqih-e-shahr se kya puchhiye 'rawish' ki janab
zaban-e-shisha-o-jam-o-subu samajhte hain