KHiraman shahid-e-simin badan hai
qayamat aasmani pairahan hai
tabassum hai ki mauj-e-nur-o-nikhat
nazar hai ya mohabbat ki kiran hai
meri masti ka andaza hai kis ko
nigah-e-naz meri ham-suKHan hai
wo meri zindagi par hukmaran hain
mere bas mein na ye tan hai na man hai
hazaron rang hain meri nazar mein
tasawwur mein kisi ki anjuman hai
KHayalon mein mere lahra rahi hain
wo zulfen jin mein bu-e-yasaman hai
abhi is mein KHizan aane na pae
ye nau-ras aarzuon ka chaman hai
kahan ab wo mazaq-e-sarfaroshi
zaban par qissa-e-dar-o-rasan hai
nahin badle tere 'muztar' ke andaz
wahi masti wahi diwana-pan hai
Ghazal
KHiraman shahid-e-simin badan hai
Ram Krishn Muztar