khile hue hain phul sitare dariya ke us par
achchhe log base hain sare dariya ke us par
mahki raaten dost hawaen pichhli shab ka chand
rah gae sab KHush-KHwab nazare dariya ke us par
bas ye soch ke sarshaari hai ab bhi apne liye
bahte hain KHushbu ke dhaare dariya ke us par
sham ko zindagi karne wale rang-birange phul
phul wo sare rah gae pyare dariya ke us par
yun lagta hai jaise ab bhi rasta takte hain
gae zamane ret kinare dariya ke us par
gunjti hai aur lauT aati hai apni hi aawaz
aaKHir kab tak koi pukare dariya ke us par
dahki hui ek aag hai 'sabir' apne sine mein
jate nahin par is ke sharare dariya ke us par

Ghazal
Khile hue hain phul sitare dariya ke us par
Sabir Waseem