khinch laya tujhe ehsas-e-tahaffuz mujh tak
ham-safar hone ka tera bhi irada kab tha
darguzar karti rahi teri KHataen barson
mere jazbaat o KHayalat tu samjha kab tha
mauj-dar-mauj bhanwar khinch raha tha mujh ko
meri kashti ke liye koi kinara kab tha
zahiran sath wo mere tha magar aankhon se
bad-gumani ke naqabon ko utara kab tha
tujh ko malum nahin apni wafaon ke ewaz
jaan-e-jaan main ne jo chaha tha ziyaada kab tha
do kinaron ko milaya tha faqat lahron ne
hum agar us ke na the wo bhi hamara kab tha
us ne meri hi rifaqat ko banaya mulzim
main agar bhiD mein thi wo bhi akela kab tha
wo tera ahd-e-wafa yaad hai ab tak 'mita'
bhul baiThi hun mohabbat ka zamana kab tha
Ghazal
Khinch laya tujhe ehsas-e-tahaffuz mujh tak
Ameeta Parsuram ‘Meeta’