اردو हिंदी
KhiDki se us sanam ka jo mukhDa nazar paDa | Shaahi Shayari
khiDki se us sanam ka jo mukhDa nazar paDa

Ghazal

KhiDki se us sanam ka jo mukhDa nazar paDa

Mazaq Badayuni

;

khiDki se us sanam ka jo mukhDa nazar paDa
taq-e-haram se jalwa KHuda ka nazar paDa

sat aasman ki sair hai pardon mein aankh ke
aankhen khulin to turfa tamasha nazar paDa

dekha hai aankh ne tera ji chahe puchh dekh
ai dil main kya kahun mujhe kya kya nazar paDa

insan un ko dekh ruke kyunki aankh se
hur o pari ko jin ka na saya nazar paDa

main mast hun 'mazaq' mai-e-intizar se
saqi na mai na jam na mina nazar paDa