khel rachaya us ne sara warna phir kyun hota main
us ne hi ye bhiD lagai bana hun sirf tamasha main
us ne apne dam ko phunka aur mujhe bedar kiya
main pani tha main zarra tha lambi nind se jaga main
us ne pahle rup diya phir rang diya phir izn diya
bahr o bar mein barg o samar mein nae safar par nikla mein
aaine ki KHwahish kar ke KHud ko bhi aazar diye
dekh liya ab aaine mein kab hun tere jaisa main
qatl-o-ghaarat ke hangame shor-sharaba to hoga
mujh ko yahan par bhejne wale wahan na rahta achchha main

Ghazal
Khel rachaya usne sara warna phir kyun hota main
Sabir Waseem