KHazana-e-zar-o-gauhar pe KHak Dal ke rakh
hum ahl-e-mehr-o-mohabbat hain dil nikal ke rakh
hamein to apne samundar ki ret kafi hai
tu apne chashma-e-be-faiz ko sambhaal ke rakh
zara si der ka hai ye uruj-e-mal-o-manal
abhi se zehn mein sab zawiye zawal ke rakh
ye bar bar kinare pe kis ko dekhta hai
bhanwar ke bich koi hausla uchhaal ke rakh
na jaane kab tujhe jangal mein raat paD jae
KHud apni aag se shoala koi ujal ke rakh
jawab aae na aae sawal uTha to sahi
phir is sawal mein pahlu nae sawal ke rakh
teri bala se giroh-e-junun pe kya guzri
tu apna daftar-e-sud-o-ziyan sambhaal ke rakh
chhalak raha hai jo kashkol-e-arzu us mein
kisi faqir ke qadmon ki KHak Dal ke rakh
Ghazal
KHazana-e-zar-o-gauhar pe KHak Dal ke rakh
Iftikhar Arif