اردو हिंदी
KHayalon KHayalon mein kis par utre | Shaahi Shayari
KHayalon KHayalon mein kis par utre

Ghazal

KHayalon KHayalon mein kis par utre

Husain Abid

;

KHayalon KHayalon mein kis par utre
na dushman koi nan jahan yar utre

giraftar hai sehr-e-aina-gar ka
pas-e-aina kis tarah yar utre

zaban-o-bayan dastan sab badal de
kahani mein aisa bhi kirdar utre

tasawwur mein to gungunati nadi thi
samundar mein kaise ye sarkar utre

so gardan jhuka kar nigah tan li hai
ki inkar o iqrar ka bar utre