KHayal-o-KHwab se ghar kab talak sajaen hum
hai ji mein ab to ki ji KHud se bhi uThaen hum
ajib wahshaten hisse mein apne aai hain
ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paen hum
anis-e-jaan to hain ye KHush-qadan chinar magar
adaen teri unhen kis tarah sikhaen hum
wo ghar to jal bhi chuka jis mein tum hi tum the kabhi
ab us ki rakh se duniya nai basaen hum
suna rahe hain dukhon ki kahaniyan kab se
bas ab to dhyan ki naddi mein Dub jaen hum
har ek samt pahaDon ka silsila hai yahan
hamara haal hai kya ye kise sunaen hum
Ghazal
KHayal-o-KHwab se ghar kab talak sajaen hum
Ahmad Hamdani