اردو हिंदी
KHauf ban kar ye KHayal aata hai aksar mujhko | Shaahi Shayari
KHauf ban kar ye KHayal aata hai aksar mujhko

Ghazal

KHauf ban kar ye KHayal aata hai aksar mujhko

Ameer Qazalbash

;

KHauf ban kar ye KHayal aata hai aksar mujh ko
dasht kar jaega ek rose samundar mujh ko

main sarapa hun KHabar-nama-e-imroz-e-jahan
kal bhula de na ye duniya kahin paDh kar mujh ko

har nafas mujh mein taghayyur ki hawae larzan
murtasim kar na saka koi bhi manzar mujh ko

apne sahil pe main KHud tishna-dahan baiTha hun
dekh dariya ki tarai se nikal kar mujh ko

mere sae mein bhi mujh ko nahin rahne dega
mere hi ghar mein rakhega koi be-ghar mujh ko

kargar koi bhi tadbir na hone dega
kya muqaddar hai ki le jaega dar-dar mujh ko

kaam aaegi na bedar-nigahi bhi 'amir'
KHwab kah jaega ek din mera paikar mujh ko