KHat zamin par na ai fusun-gar kaT
dard-e-sar kaTna hai to sar kaT
gar likhun us ko nama-e-ulfat
harf-e-matlab ko de muqaddar kaT
qatl se mere gar phire qatil
dant se lun zaban-e-KHanjar kaT
gar hai bedad hi pasand tujhe
gardan-e-ghair ai sitam-gar kaT
gham-e-barq-o-tagarg ko na KHarid
kisht-e-ummid ko sarasar kaT
waqt-e-dai zer-e-KHar-zar guzar
mausam-e-gul tah-e-gul-e-tar kaT
pa-e-mardi se dast-burd na chhoD
jeb-e-shah-o-gada barabar kaT
quwwat-e-hazm hai ba-qadr-e-zarf
kya kare mauj-e-ab-e-gauhar kaT
sabr-o-taslim hi ke andar rah
umr ranj-o-KHushi se bahar kaT
tegh-e-burran-e-waqt se har dam
rishta-e-arzu ko yak-sar kaT
mat bana ghar chaman ke andar kaT
mat laga dil gul-o-sanobar kaT
aashiyan ke liye chaman ka se
murgh-e-hirs-o-hawa ka har par kaT
qadar-e-aram kuchh to kar malum
rose dushwar raat dubhar kaT
shart kuchh tegh bandhna hi nahin
zist ko aae jo mayassar kaT
ai 'qalaq' ranj ho ki ho aaram
kaT jaise kaTe subuk-tar kaT
Ghazal
KHat zamin par na ai fusun-gar kaT
Ghulam Maula Qalaq