khari baaten ba-andaz-e-suKHan kah dun to kya hoga 
adu-e-jaan-o-tan ko jaan-e-man kah dun to kya hoga 
nigahban-e-watan ko rahzan kah dun to kya hoga 
kisi bhi bad-chalan ko bad-chalan kah dun to kya hoga 
gharibi jin ke latte le gai ta-hadd-e-uryani 
jo main un ismaton ko sim-tan kah dun to kya hoga 
andhere ko andhere hi kahenge dekhne wale 
sawad-e-sham ko subh-e-watan kah dun to kya hoga 
ghalat baaton pe duniya kab tawajjoh sarf karti hai 
buton ko be-zaban o be-dahan kah dun to kya hoga 
kahin fitrat badal sakti hai namon ke badalne se 
janab-e-shaiKH ko main barhaman kah dun to kya hoga 
qad o gesu ko tum shamshad o sumbul kah ke kya loge 
qad o gesu ko main dar-o-rasan kah dun to kya hoga 
sitare toDti hai jab ki zarron ki tawanai 
sitaron ko tumhaari anjuman kah dun to kya hoga 
sadarat ke faraez jab ada hone nahin pate 
agar main tum ko sadr-e-anjuman kah dun to kya hoga 
wo but ai 'shad' jab ghazlon mein dilchaspi nahin leta 
main us ki shan mein koi bhajan kah dun to kya hoga
        Ghazal
Khari baaten ba-andaz-e-suKHan kah dun to kya hoga
Shaad Aarfi

