اردو हिंदी
KHarab-o-KHasta sahi saeban banaya hai | Shaahi Shayari
KHarab-o-KHasta sahi saeban banaya hai

Ghazal

KHarab-o-KHasta sahi saeban banaya hai

Mohammad Ali Manzar

;

KHarab-o-KHasta sahi saeban banaya hai
muzaf-e-shahr mein hum ne makan banaya hai

kabhi raha hi nahin mausamon se paiwasta
nae mizaj ka ek gulistan banaya hai

kisi ke waste firdaus hai ye sayyara
hamare waste aazar-e-jaan banaya hai

hudud-e-waqt mein mahdud kar ke insan ko
KHud apne waste kyun la-makan banaya hai

gar iKHtilaf tha 'manzar' to bhi bayan karte
zara si baat ko kyun dastan banaya hai