KHamoshi bol uTThe har nazar paigham ho jae
ye sannaTa agar had se baDhe kohram ho jae
sitare mishalen le kar mujhe bhi DhunDne niklen
main rasta bhul jaun jangalon mein sham ho jae
main wo aadam-gazida hun jo tanhai ke sahra mein
KHud apni chap sun kar larza-bar-andam ho jae
misal aisi hai is daur-e-KHirad ke hosh-mandon ki
na ho daman mein zarra aur sahra nam ho jae
'shakeb' apne taaruf ke liye ye baat kafi hai
hum us se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jae

Ghazal
KHamoshi bol uTThe har nazar paigham ho jae
Shakeb Jalali