KHamosh rah kar pukarti hai
wo aankh kitni shararti hai
hai chandni sa mizaj is ka
samundaron ko ubhaarti hai
mein baadalon mein ghira jazira
wo mujh mein sawan guzarti hai
ki jaise main is ko chahta hun
kuchh aise KHud ko sanwarti hai
KHafa ho mujh se to apne andar
wo barishon ko utarti hai

Ghazal
KHamosh rah kar pukarti hai
Naseem Abbasi