KHalwat-e-jaan se chali baat zaban tak pahunchi
koi chingari angeThi se dhuan tak pahunchi
raaz o asrar ke khulne ki tawaqqo thi kise
ek kahani thi kisi tarah bayan tak pahunchi
rah-guzar ka hai taqaza ki abhi aur chalo
ek ummid jo manzil ke nishan tak pahunchi
bais-e-rahat-o-gham lutf-e-karam tha warna
jitni KHwahish thi faqat sud o ziyan tak pahunchi
tu ne parda na haTaya mujhe taskin na hui
bandagi haar ke phir ku-e-butan tak pahunchi

Ghazal
KHalwat-e-jaan se chali baat zaban tak pahunchi
Muzaffar Abdali