اردو हिंदी
KHala sa Thahra hua hai ye chaar-su kaisa | Shaahi Shayari
KHala sa Thahra hua hai ye chaar-su kaisa

Ghazal

KHala sa Thahra hua hai ye chaar-su kaisa

Shahram Sarmadi

;

KHala sa Thahra hua hai ye chaar-su kaisa
ujaD ho gaya ek shahr-e-rang-o-bu kaisa

tamam halqa-e-KHwab-o-KHayal hairan hai
sawad-e-chashm mein aaya ye mah-ru kaisa

kabhi jo fursat-e-yak-lamha bhi mile to dekh
ki dasht-e-yaad mein bikhra paDa hai tu kaisa

agarche shora hi shora sab ilaqa-e-dil
tujhe rakkha hai magar sabz o pur-numu kaisa

sara-e-dil mein kai din se sham hote hi
dhuan sa phailne lagta hai ku-ba-ku kaisa

zara jo sochen to ye masala bhi hal ho jae
ki hona chahiye ab rang-e-arzu kaisa