KHala ki ruh kis liye ho mere iKHtiyar mein
uDan ka to zikr tak na tha mere farar mein
kabhi to manzaron ke is tilism se ubhar sakun
khaDa hun dil ki sath par KHud apne intizar mein
ye saaton ki bhiD ne use ganwa diya na ho
rakha tha main ne ek lams waqt ki darar mein
safar mein marhalon ki rasm bhi hai ab bujhi bujhi
wahi purani gard hai har ek nae ghubar mein
abad ki sarhadon ke par bhi hadon ka shor tha
thi paikaron ki dastan KHala ke shahkar mein
ye jism kyun ye ruh kyun hayat kyun 'riyaz' kyun
sifar sifar ki gunj hai talash ke mazar mein
Ghazal
KHala ki ruh kis liye ho mere iKHtiyar mein
Riyaz Latif