KHala ke jaisa koi darmiyan bhi paDta
phir is safar mein kahin aasman bhi paDta
main choT kar to raha hun hawa ke mathe par
maza to jab tha ki koi nishan bhi paDta
ajib KHwahishen uThti hain is KHarabe mein
guzar rahe hain to apna makan bhi paDta
hamin jahan ke pichhe paDe rahen kab tak
hamare pichhe kabhi ye jahan bhi paDta
ye ek kami ki jo ab zindagi si lagti hai
hamari dhup mein wo saeban bhi paDta
har ek roz isi zindagi ki tayyari
so chahte hain kabhi imtihan bhi paDta
Ghazal
KHala ke jaisa koi darmiyan bhi paDta
Abhishek Shukla