KHair yunhi sahi taskin ho kahin thoDi si
han to kahte ho magar sath nahin thoDi si
haal-e-dil sun ke mera barsar-e-rahmat to hain kuchh
abhi baqi hai magar chin-e-jabin thoDi si
hui jati hai sahar aisa bhi ghabrana kya
raat gar hai bhi to ai mah-jabin thoDi si
jam-e-mai dekh ke labrez kis andaz ke sath
us ka kahna ki nahin, itni nahin, thoDi si
be-KHudi ye dam-e-ruKHsat thi ki sab kuchh bhula
un ki baaten bhi mujhe yaad rahin thoDi si
ab ye paigham kisi ka koi le kar jae
abhi lab par hai mere jaan-e-hazin thoDi si
yun to tum roz hi kahte ho sabhi kuchh mujh se
aaj ki baat hui zehn-nashin thoDi si
un se kuchh kah na saka main shab-e-gham ki baaten
go ki bhula tha magar yaad bhi thin thoDi si
bosa to us lab-e-shirin se kahan milta hai
galiyan bhi milin hum ko to milin thoDi si
ab to sab ka tere kuche hi mein maskan Thahra
yahi aabaad hai duniya mein zamin thoDi si
uTThe jate hain hamin aap na baiThen KHamosh
aap ki baat samajhte hain hamin thoDi si
yaad kuchh aa ke ye haalat hui meri ki na puchh
pichhli ghaDiyan shab-e-gham ki jo rahin thoDi si
subh tak sham se wo go ki rahe pas mere
hasraten dil ki magar rah hi gain thoDi si
koste kya ho abhi hote hain hum shadi-e-marg
gar mile dafn ko kuche mein zamin thoDi si
sab mera haal wahan kaise kahega qasid!
tu to sunta hai meri baat nahin thoDi si
daulat-e-faqr se sab ho gai taskin 'nizam'
ab karen kya talab-e-taj-o-nagin thoDi si
Ghazal
KHair yunhi sahi taskin ho kahin thoDi si
Nizam Rampuri