khaDi hai sham ki KHwab-e-safar ruka hua hai
yaqin kyun nahin aata agar ruka hua hai
guzarne wale the jo bhi guzar gae lekin
miyan-e-rah koi be-KHabar ruka hua hai
baras raha hai na chhaTta hai ye kai din se
jo ek abr meri KHak par ruka hua hai
rawan bhi silsial-e-ashk hai abhi kuchh kuchh
ye qafila jo kahin besh-tar ruka hua hai
abhi nikal nahin sakta gharon se koi yahan
ki sail-e-ab abhi dar-ba-dar ruka hua hai
har ek shai hai kisi rakh mein badalne ko
kahin jo KHana-e-KHas mein sharar ruka hua hai
chali hui thi meri baat jitne zoron se
usi hisab se is ka asar ruka hua hai
pahunch sake kisi manzil pe kya musafir-e-dil
ki chal raha hai ba-zahir magar ruka hua hai
ye harf o saut karishme hain sab usi ke 'zafar'
lahu ke sath ragon mein jo Dar ruka hua hai
Ghazal
KhaDi hai sham ki KHwab-e-safar ruka hua hai
Zafar Iqbal