اردو हिंदी
KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya | Shaahi Shayari
KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya

Ghazal

KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya

Nayyar Qureshi Gangohi

;

KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya
dekha jab apna hashr pareshan rah gaya

purkhon ki shandar haweli ka zikr chhoD
aabaad kar khanDar ko jo viran rah gaya

gard-e-safar mein phul se chehre utar gae
aaina un ko dekh ke hairan rah gaya

dil bhar gaya hai apna masafat ke shauq mein
manzil hai dur rasta bhi sunsan rah gaya

hum jagte the madd-e-muqabil rahe magar
KHamosh inqalab tha tufan rah gaya

kis ne diya tha sulh-o-safai ka mashwara
basti mein ho ke jang ka elan rah gaya

qismat ka hai zawal ki mehnat ki hai kami
hum ne kiya jo kaam bhi nuqsan rah gaya

hum ne diya tha KHun bhi us ke liye magar
wo mar gaya gharib ka ehsan rah gaya

'nayyar' ne sadgi se guzari hai zindagi
makkariyon se apnon ki anjaan rah gaya