KHana-barbaad hue be-dar-o-diwar rahe
phir bhi hum un ki itaat mein giraftar rahe
Thokaren kha ke bhi shaista-mizaji na gai
faqa-masti mein bhi hum sahib-e-dastar rahe
apni surat se hirasan hai har ek shaKHs yahan
kaun is shahr mein ab aaina-bardar rahe
aate jate hue mausam ko dua dete raho
kam se kam shaKH-e-tamanna to samar-dar rahe
dastaken hongi dar-e-dil pe koi aaega
raat bhar hum isi ummid mein bedar rahe
dar-ba-dar phirte rahe KHana-ba-doshon ki tarah
zindagi hum teri tahwil mein be-kar rahe
KHak kyun uDne lagi rah-e-junun mein 'aKHtar'
rasan-o-dar ka koi to talabgar rahe

Ghazal
KHana-barbaad hue be-dar-o-diwar rahe
Sultan Akhtar