KHamushi chheD rahi hai koi nauha apna
TuTta jata hai aawaz se rishta apna
ye judai hai ki nisyan ka jahannam koi
rakh ho jae na yaadon ka zaKHira apna
in hawaon mein ye siski ki sada kaisi hai
bain karta hai koi dard purana apna
aag ki tarah rahe aag se mansub rahe
jab use chhoD diya KHak tha shola apna
hum use bhul gae to bhi na puchha us ne
hum se kafir se bhi jizya nahin manga apna
ye naya dukh ki mohabbat se hue hain sairab
pyas ke bojh se Duba na safina apna
Ghazal
KHamushi chheD rahi hai koi nauha apna
Saqi Faruqi