KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein
main kaise na rukta chalne laga jab surKH ishaara aankhon mein
manzar mein kinaron se bahar dariya-e-mohabbat bahta hai
aur pas-manzar mein nile se aanchal ka kinara aankhon mein
har sal bahaar se pahle main pani par phul banata hun
phir chaaron mausam likh jate hain nam tumhaara aankhon mein
ab kahne wale kahte hain is shahr mein raat nahin hoti
ek aisa hi din tha wo chehra jab main ne utara aankhon mein
socha hai tumhaari aankhon se ab main un ko milwa hi dun
kuchh KHwab jo DhunDte phirte hain jine ka sahaara aankhon mein
Ghazal
KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein
Ghulam Mohammad Qasir