KHamosh kali sare gulistan ki zaban hai 
ye tarz-e-suKHan aabru-e-KHush-suKHnan hai 
jo baat ki KHud mere takallum pe garan hai 
wo teri samaat ke to qabil hi kahan hai 
har zarra pe hai manzil-e-mahbub ka dhoka 
pahunche koi is bazm tak un ka hi kahan hai 
insan ne asrar-e-jahan fash kiye hain 
soya hua KHurshid hai zarra nigaran hai 
'fitrat' dil-e-kaunain ki dhaDkan to zara sun 
ye hazrat-e-insan hi ki azmat ka bayan hai
        Ghazal
KHamosh kali sare gulistan ki zaban hai
Abdul Aziz Fitrat

