KHamosh dab-e-ishq ko bulbul liye hue
gul mast hai chaman mein piyala piye hue
imsal fasl-e-gul mein wo phir chaak ho gae
agle baras ke the jo gareban siye hue
hum bhi hawa mein ek gul-e-nau-KHez-e-husn ke
barson phire hain chaak gareban kiye hue
dokanen mai-faroshon ki kab se paDi hain band
rah rah gae hain qufl diye ke diye hue
ishq-e-sanam hai is mein hain KHuddariyan zarur
ai dil KHuda ke waste KHud ko liye hue
murshid hai ishq hum hain murid us janab ke
barson guzar gae hain piyala piye hue
wo aa ke muskurae is andaz-o-naz se
khul khul gae jo zaKHm-e-jigar the siye hue
roz-e-azal se daKHl wajud o adam mein hai
donon ilaqe hain ye hamare liye hue
hain but-parast dair mein haji hain kaba mein
talib raza-e-dost ke dharne diye hue
maidan-e-imtihan mein hamein bhej dijiye
kahiye unhen ye kaam hain jin ke kiye hue
namard apne wadi mein rakkhega kya qadam
sar ho muhimm-e-ishq na be-sar diye hue
kis kis tarah ka bhes badal kar pahunchte hain
aashiq hue na aap ke bahrupiye hue
hasil hua buton se na aashiq ko muddaa
raushan kabhi na dair mein ghee ke diye hue
tawiz o naqsh kuchh nahin karte asar wahan
sare ye khaTkhaTe hain hamare kiye hue
ek shab hui nasib-e-sulaiman na jo pari
hum roz soe us ko baghal mein liye hue
aankhon mein phirti hain jo wo aankhen nashilyan
do botalon ki masti hai be-mai piye hue
bandha jo chust chust mazamin-e-nau ke sath
bandish se meri tang bahut qafiye hue
aashiq mizaj rote hain paDh paDh ke beshtar
ashaar 'rind' ke na hue marsiye hue
Ghazal
KHamosh dab-e-ishq ko bulbul liye hue
Rind Lakhnavi