KHali hathon mein mohabbat banTti rah jaungi
apne KHali hath aaKHir dekhti rah jaungi
kuch kar jaenge sab dasht-e-wafa se qafile
KHwab aankhon mein liye main soi hi rah jaungi
bhul jaega koi mujh ko bujhane ka hunar
subh bhi aai to shab bhar se jali rah jaungi
paungi jurm-e-mohabbat ki anokhi si saza
waqt ke honTon pe main ek an-kahi rah jaungi
tum ne chhoDa hai to raste aur raushan ho gae
tum ye samjhe the ki raste mein khaDi rah jaungi
wusat-e-aflak mein bhi nisbat-e-zohra kahan
TuT kar bhi lamha bhar ki raushni rah jaungi
aaj socha hai ki KHud raste banana sikh lun
is tarah to umr sari sochti rah jaungi
Ghazal
Khaali hathon mein mohabbat banTti rah jaungi
Saima Esma