KHaksaron se qarin rahta hai
aasman KHak-nashin rahta hai
hai ajab KHu-e-faqirana bhi
ek jahan zer-e-nagin rahta hai
wajh duniya bhi hai fitrat bhi hai
koi KHush koi hazin rahta hai
bagh-e-gul-gasht-e-saba dil ko bana
naKHl-e-sarsabz yahin rahta hai
ghar ka saman nahin virane mein
shahr mein KHauf-e-makin rahta hai
aankhon aankhon mein to kaT jati hai raat
dard farKHanda-jabin rahta hai
kaj-ada aisa nahin hai wo bhi
bojh ek dil pe kahin rahta hai
go koi wajh-e-talluq bhi nahin
main kahin dhyan kahin rahta hai
Ghazal
KHaksaron se qarin rahta hai
Syed Amin Ashraf